Friday, June 22, 2018

Aaj Mile Hain Lyrics





Music Level : Zee Music Company
Starring : Anuj Sachdeva and Babita Hazra
Music Directors : Saurabh - Jay
Lyrics : Kunaal Vermaa
Singers :Yasser Desai


____________LYRICS____________

Tu humesha mere saath mein
Aa raha zikr mein baat mein
Tu lakire nayi de gaya
Haath deke mere haath mein
Meherbaaniyo se tu mila
Ab tu likha saans mein
Yeh haqdariyan mujhpe teri
Jina tere vaaste
Aaj hase hain aankhe bhar ke
Aaj jiye tujhpe marke
Aaj kisi ne apna hai kaha
Aaj nigahon se ho baate
Aaj hai honi barsaate
Aaj kisi ne apna hai kaha




Main tere kaabil tha nahi
Phir bhi haasil
Tu aa mujhme daakhil
Tera shukriya
Yeh tere aage
Dil meri na mane
Keh raha tu kya jaane
Yeh kya hua
Heraaniyon se bhar diye
Lamhe jo khali se the
Aasaniyon se mile
Tujhse mere raaste
Aaj hase hain aankhe bhar ke
Aaj jiye tujhpe marke
Aaj kisi ne apna hai kaha
Aaj nigahon se ho baate
Aaj hai honi barsaate
Aaj kisi ne apna hai kaha
Humpe bharosa hai kiya
To daro na saath mere chalo na
Phir dekhna…
Dekhi na hogi tumne pehle
Kabhi bhi aisi shame main dunga
Aa saathiya
Jitna mera utna tera
Rakh le magar muskura
Sauda nahi yeh bhi bura
Tu mil gaya sab mila
Aaj hase hain aankhe bhar ke
Aaj jiye tujhpe marke
Aaj kisi ne apna hai kaha
Aaj nigahon se ho baate
Aaj hai honi barsaate
Aaj kisi ne apna hai kaha

Tuesday, June 19, 2018

Humnava Mere Lyrics

 

Song: Humnava Mere

Singer Jubin Nautiyal

Music: Rocky - Shiv

Lyrics: Manoj Muntashir

Music Label: T-Series

_______LYRICS_______

Barson ho gaye bichde
Ab sath nahi ho tum
Phir aisa kyon lagta hai
Jahan main hu wahin ho tum

Kya karun main apni ungliyon ka
Kisi ki bhi tasveer banaun
Tumhari ban jaati hai
Yeh sirf mera paagalpan hai
Ya tum bhi mere liye paagal thi

Kal raaste mein gham mil gaya tha
Lag ke gale main ro diya
Jo sirf mera tha, sirf mera
Maine usse kyon kho diya

Haan woh aakhein jinhe main
Choomta tha bewajah
Pyar mere liye kyon
Unmein baaki na raha

Humnava mere tu hai to meri saasein chale
Bata de kaise main jiyunga tere bina 

 

Har waqt dil ko jo sataye
Aisi kami hai tu
Main bhi na jaanun yeh
Ke itna kyon laazmi hai tu     
Neendein jaake na lautin
Kitni raatein dhal gayin
Itne taare gine ki
Ungliyan bhi jal gayin

Humnava mere tu hai to meri saasein chale
Bata de kaise main jiyunga tere bina 

Tu aakhri aansu oh yaara
Hai aakhri tu gham
Dil ab kahan hai jo dobara
De dein kisi ko hum

Apni shaamon mein hissa
Phir kisi ko na diya
Ishq tere bina bhi
Maine tujhse hi kiya

Humnava mere tu hai to meri saasein chale
Bata de kaise main jiyunga tere bina
Fasle na de ke main hu aasre tere
Bata de kaise main jiyunga tere bina

Aazma raha mujhe kyon
Aa bhi jaa kahin se ab tu
Kaise main jiyunga tere bina
Seene mein jo dhadkanein hain
Tere naam pe chale hain
Kaise main jiyunga tere bina

Jawab mil gaya mujhe
Main tumhari zindagi mein kahin nahi tha
Phir bhi main hi tumhari zindagi tha
Sirf main hi tumhare liye paagal nahi tha
Tum bhi

Humnava mere tu hai to meri saasein chale
Bata de kaise main jiyunga tere bina

 

 

Tab bhi Tu Mere Sang Rehna Song Lyrics




Movie      : October
Music      : Anupam Roy
Lyrics      : Tanveer Ghazi
Singer     : Rahat Fateh Ali Khan

Starcast  : Varun Dhawan & Banita sandhu 
Label      : Zee Music Company


   ...............LYRICS...................

Meri rooh karegi fariyaad
Meri saansein kahin kho jaayengi
Tab bhi tu mere sang rehna


Jab raakh banega ye sooraj
Aur dhoop dhuaan ho jaayegi
Tab bhi tu mere sang rehna


Sajde ki tarah phir aankhein jhukeen
Phir palkein namaazi huyeen
Tere zikr mein thi kuch aisi nami
Sookhi saansein bhi taazi huyin


Jab umr ki aawaara baarish
Sab rang mere dho jaayegi
Tab bhi tu mere sang rehna






Taaveez hai meri mutthi mein
Taaveez mein hai tasveer teri
Uljhi si lakeerein haath mein hain
Tu suljhaaye taqdeer meri


Jab waqt karega chhal mujhse
Taqdeer khafa ho jayegi
Tab bhi tu mere sang rehna


Meri rooh karegi fariyaad
Meri saansein kahin kho jaayengi
Tab bhi tu mere sang rehna


 

#Recently Posts

ISMEIN TERA GHATA II TERA GHATA LYRICS & DOWNLOAD

Kuch soch ke bola hoga tumne Ye pyaar bhi tola hoga tumne Ab na hai toh phir na sahi dilbar Iss dil ko ye samjha liya humne Isme tera ghata ...